These poems/shayaris have been written over a period of 6-7 years and capture my state of mind during these times...
Hope you find these worth your time :
Jiyo To Is Tarah
Gao to is tarah ki tarana badal do tum,
Likho to is tarah ki fasana badal do tum,
Rutho to is tarah ki manana badal do tum,
Mano to is tarah ki satana badal do tum,
Bichdo to is tarah ki yaad aana badal do tum,
Chalo to is tarah ki thikana badal do tum,
Ruko to is tarah ki thakana badal do tum,
Lado to is tarah ki jhukana badal do tum,
Jhuko to is tarah ki harana badal do tum,
Jiyo to is tarah ki zamana badal do tum,
Maro to is tarah ki har mana badal do tum.
Zindagi
Zindagi se mukabla ho jab kabhi,
Harna na himmat bas tu tabhi,
Badhate hi rehna tu apne kadam,
Ho chahe tujh pe job hi sitam,
Ki pa jayega apni manzil wahi,
Dar ke kisi se jo jukta nahin,
To aage badho karlo khud par yakien,
Kadam chumenge aasman aur zameen.
Nayi Subah
Aaj yeh suraj chipa hai badalon ke piche,
Jaise tera chehra chip jata hai zulfon ke niche,
Tere chehre ki roshni zulfon ki kivad se jhalak ke aa rahi hai,
Teri surat ko niharne ki tadap aur badha rahi hai,
Ki tere liye to aye humsafar yeh luka chuppi ka khel sahi,
Par meri to saari zindagi amavas ki raat banti jaa rahi hai,
Tu ijazat de agar to yeh zulfein mein hata doon,
Tere chehre ki roshni se zindagi ki nayi subah main saja loon.
And here are a couple of shayaris :
Kashtiyon ko dubane ka shauk hai tumhein agar,
To hum bhi rakhte hai dum toofanon se takrane ka,
Taqdeer, azmale chahe jitna tu magar,
Tod na payegi junoon is diwane ka.
Aye maut mein aaj tujhe gale lagana chahta hoon,
Kitni wafai hai teri fidrat mein yeh aazmana chahta hoon,
Zindagi ne to bas hardam rulaya hai mujhe,
Tera saath mile to aaj, zindagi ko rulana chahta hoon.
Have a Great Weekend :)
No comments:
Post a Comment